Subscribe For Free Updates!

We'll not spam mate! We promise.

mohsin naqvi poetry.

Yaad-Mazi Mai Jo Ankhon Ko Saza Di Jaye

Is Say Behtar Hai K Har Baat BhulaDi Jaye..


Mai Ne Apno K Raweyon Say Ye Mehsoos Kiya

Dil K Angan Mai B Dewaar Utha Di Jaye..


Mai Ne Yaroon K Bhicharne Say Ye Seekha "MOHSIN"

Apne Dushman Ko B Jeene Ke Dua Di Jaye.....


_________________________________


Main, Shauq Ki Gehraiyon Se Darta Raha

Main Apni ZaaT Ki Sachaiyon Se Darta Raha


Mohabton Se Shanasa Huwa Main Jis Din Se

Phir Us K Baad Shanasaiyon Se Darta Raha


Wo Chahta Tha K Tanha Miloon To Baat Kre

Main Kya Krun K Main Tanhaiyon Se Darta Raha


Mein Regzaar Tha Mujh Main Basay Thay Sanaatay

Isi Liye To Main Shehnaiyon Se Darta Raha


Main Apne Baap Ka Yousuf Tha is Liye Mohsin

Sakoon Se, So Na Saka Bhaiyon Se Darta Raha


_________________________________


Yeh log wese to baat nahin suntey,

Mujhe majmaa lagana partta hai..


__________________________________


Ashk Aankhon Mein Chhupatay Howay Thak Jata Hun

Bojh Paani Ka Uthaatay Howay Thak Jaata Hun


Paon Rakhtay Hain Jo Mujh Per Unhain Ehsaas Nahi

Mein Nishaanaat Mitaatay Howay Thak Jaata Hun


Barf Aisi Ke Pighalti Nahi Paani Ban Kar

Pyaas Aisi Ke Bujhaatay Howay Thak Jaata Hun


Achi Lagti Nahi Is Darja Shanasaayi

Haath Haathon Se Milaatay Howay Thak Jaata Hun


Gham Gusaari Bhi Ajab Kaar-e-Mohabbat Hai Ke Mein

Ronay Waalon Ko Hansaatay Howay Thak Jaata Hun


Itni Qabrain Na Banao Mere Andar "Mohsin"

Mein Charaaghon Ko Jalaatay Howay Thak Jaata Hun


_________________________________


Aankhain khuli rahain gi toh manzar bih ayengai

Zinda hai dil toh aur sitamgarr bhi ayengai


Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal

Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayengai


Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chaidh

Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayengai


Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukhaan mai

Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayengai


Aye shehr yaar dasht say fursat nahi — magar!!

Niklay safar pay hum toh teray ghar bhi ayengai


"Mohsin" abhi saba ki sakhawat pay khush na ho

Jhonkay yehi basoorat-e-sarr sarr bhi ayengai…


____________________________________


Sakoot-e-Shaam Main Goonji Sadaa Udaasi Ki

Ke Hai Mazeed Udaasi Dawa Udaasi Ki


Amoor-e-Dil Main, Kisi Teesre Ka Dakhal Nahi

Yahan Faqat Teri Chalti Hai Ya Udaasi Ki


Bohat Shareer Tha Main Aur Hansta Phirta Tha

Phir Ek Faqeer Ne De Di Dua Udaasi Ki


Charaagh-e-Dil Ko Zara Ehtiyaat Se Rakhna

Ke Aaj Raat Chale Gi Hawa Udaasi Ki


Bohat Dinon Se Mulakaat Hi Nahi “Mohsin”

Kahin Se Khair Khabar Le Ke Aa Udaasi Ki


____________________________________


Woh shakhs jis ko samajhney mein mujh ko umar lagi,

Bicharr ke mujh se kissi kaa ho na saka hoga..


____________________________________


Har ek zakhm ka chehra gulaab jesa hai,

Magar yeh jaagta manzar bhi khawb jesa hai,


Yeh talkh talkhh sa lehja, yeh tez tez si baat,

Mizaaj-e-yaar ka aalam sharaab jesa hai,


Bara taveel, neyhayet haseen, bohat mubhim,

Mera sawaal tumhare jawaab jesa hai,


Tu zindagi ke haqaayeq ki teh main yun na utar,

Ke iss nadi ka bahaao chanaab jesa hai,


Teri nazar hi nahin harf ashnaa warnaa,

Har ek chehra yahan kitaab jesa hai,


Chamak uthey to samandar, bujhey to rait ke leher,

Mere khayal ka daryaa saraab jesa hai,


Tere qareeb bhi reh kar na paa sakoon tujh ko,

Tere khayal ka jalwaa hubaab jesa hai..


___________________________________